Website Kaise Banaye, Free Website Banane Ki Poori Jankari

Website kaise banaye, website (blog) banane ki puri jankari hindi me

Website (Blog) Kya hota hai?

Website kaise banaye?

Kyon banaye?
Isse Kya faeda hai?
Inhi saare sawalo ka jawab hai aaj ka ye article, Website kaise banaye. Agar aap dhyan se padhenge to bahut aasani se website bana sakte hai.
Website-kaise-banaye

Website (blog) kaise banaye ki poori jankari, step by step

Dosto, jaisa ke aap sab jante hai ki aaj internet ki wajah se hamari Zindagi bahut aasan ho gayi hai, hame koi bhi aur kaisi bhi jankari chahiye hoti hai to hm net on karte hain aur google ya kisi doosre search engine pe jakar apna keyword type karte hain aur kuch seconds ke andar hamare screen pe wo saari jankariya aajati hai jo hame chahiye tha.
Kya aap ne kabhi socha hai ke in search engines ke paas itni saari jankariya aati kaha se hai? Kaun hai wo jo duniya ki saari baate uspe save karta hai?
Asal me dosto we saare articles hamare aur apke hi hote hain, hm jo kuch baate apne Website pe likhte hain share karte hain usi ko search engines poori duniya me phaila deta hai, Yaani google aur dusre search engines bs ek madhyam hai hmari baato ko puri duniya tak pahuchane ka.
Ab kya apka dil nahi kar raha ke kaash apka bhi apna website ho aur apki baat bhi puri duniya tak pahuche?

Website kyon banaye
1) Website se apki baat, apki jankari puri duniya tak pahuchegi.

2) Apki ek alag pahchan banegi.

3) Website se aap har maheene lakhon rs kama sakte hain.

4) Aur bhi bahut saare fayede hain jo ap khud soch sakte hain.



Website banane ke liye kya kya chahiye?

1. Gmail acount (jo net chalane wale lagbhag har kisi ke paas hota hai,

2. Laptop ( ya achhi quality ka smartphone)

3. Internet connection.

To chaliye ab aate hain asli mudde par yaani

Website kaise banaye?

Website (blog) ke liye do popular platform hai, ek Wordpress aur ek Blogspot. Wordpress ke liye apko paise kharch karne honge, jabki Blogspot free hai aur ye google ki hi service hai, isliye aaj mai blogspot pe acount banane ka tarika bataunga, mai khud blogspot use karta hu.
Step by step follow karte jaye

Step 1. Sabse pahle Yahan click kare

Step 2. Ab apke samne ek page khula hoga, usme Blogger.com - Create a unique and beautiful blog. Its easy and free. pe click kare

Website-kaise-banaye


Step 3. Apna Email aur Password dalkar next pe click kare.

Website-kaise-banaye




Step 4. Ab jo page open hua hoga usme new blog pe click kare.

Step 5. 
1. Title me apne blog ka naam jo aap rakhna chahe wo likhen,
2. Address me blog name likhe (agar wo naam available nahi hua to right side me nishan aajaega, yani koi dusra naam choose kare,
3. Template me niche kayi templates honge koi bhi select karle (screen shot dekhen).

4. Creat blog pe click kare.


Website-kaise-banaye

Congratulations... Apka site taiyar ho gaya.
Ab aap ache ache articles likhte jayen taaki apki bhi pahchan bane aur sath me bahut sari earnings bhi hoti rahe.
Note: Apke blog ki jo link rahegi usme blogspot.com bhi rahega, yani agar ap ne blog ka naam xyz rakha hai to uska link hoga xyz.blogspot.com... Agar bich se blogspot hatana chahte hai to hamare agle post ka intazar kare..

Yeh bhi padhe:
๐Ÿ‘‰ Facebook se paise kamaye
๐Ÿ‘‰ Insaano se jude amazing facts
๐Ÿ‘‰ Hansi ka khazana
๐Ÿ‘‰ Shayri collection

To dosto mai ummid karta hu ki aap ne successfully website ( blog) bana liya hoga, agar Website kaise banaye ke baare me aur bhi koi jankari chahiye ho to neeche comment box me bataye, aur aise hi post padhte rahne ke liye is site ko abhi subscribe karle(Free), is post ko apne dosto ke sath bhi share kare...thnks

๐Ÿ”ฅVideo Of The Day๐Ÿ”ฅ

Next Post Previous Post
1 Comments
  • Love kumar
    Love kumar 25 May

    เคจเคฎเคธ्เค•ाเคฐ เคฎेเคฐे เคช्เคฐिเคฏ เคฎाเคฐ्เค—เคฆเคฐ्เคถเค•,
    เคฎैं เคเค• เคŸॉเคช เคตेเคฌเคธाเค‡เคŸ เค•ी เคคเคฒाเคถ เคฎें เคฅा। เค•्เคฏोंเค•ि เคฎैं เคเค• เคตेเคฌเคธाเค‡เคŸ เคฌเคจाเคจा เคšाเคนเคคा เคนूं। เค‡เคธी เคคเคฒाเคถ เคฎें เคฎुเคे เค†เคชเค•ी เคตेเคฌเคธाเค‡เคŸ เคฎिเคฒी। เคธเคš เคฎें เค†เคชเค•ी เคตेเคฌเคธाเค‡เคŸ เคฌเคนुเคค เคนी เค•ाเคฌिเคฒे เคคाเคฐीเคซ เคนैं। เค†เคชเค•े เคธเคญी เคฒेเค– เค…เคฆ्เคตिเคคीเคฏ เคนैं เคœिเคจเคธे เคฎुเคे เคฌเคนुเคค เค•ुเค› เคธीเค–เคจे เค•ो เคฎिเคฒा।
    เค‡เคธ เคฎเคฆเคฆ เค•े เคฒिเค เคงเคจ्เคฏเคตाเคฆ।
    เคฎैं เค†เคชเคธे เคจिเคตेเคฆเคจ เค•เคฐเคคा เคนूं เค•ि เค†เคช เคฎेเคฐी เคตेเคฌเคธाเค‡เคŸ เคชเคฐ เค†เค•เคฐ เค…เคชเคจी เคช्เคฐเคคिเค•्เคฐिเคฏा เคฆे। เคฎेเคฐी เคตेเคฌเคธाเค‡เคŸ เค•เคนाเคจी เค”เคฐ เคจเคตीเคจเคคเคฎ เคธเคฎाเคšाเคฐों เคชเคฐ เค†เคงाเคฐिเคค เคนै।
    https://www.blogstudy.net/2021/05/25/covid-kit-kya-hai-and-upayog-kaise-kare/
    เคธเคนเคฏोเค— เค•े เคฒिเค เค†เคชเค•ा เคฌเคนुเคค เคงเคจ्เคฏเคตाเคฆ।

Add Comment
comment url