Blog Ki Settings Kaise Kare

Blog settings ki puri jankari hindi me

Blogging series ke pichle article me maine Blog banane ka asaan tarika bataya tha, I hope aap ne successfully apna khud ka blog creat kar liya hoga.

Blog banane ke baad sabse zaruri kaam hota hai Blog ki settings. Agar blog settings sahi nhi hogi to blog banane ka kuch matlab rah jayega, apka blog search engines me bhi show nahi karega, aur aise me ek bhi visitor apke blog par nhi aayega, yaani apki sari mehnat bekar.
Blog ki settings kaise kare
Bahut sare bloggers jo blogging me abhi naye hain unko Seo aur Security ki zyada jankari nhi hoti, we sari settings ko default hi chhod dete hain jo ki blog ke liye sahi nahi hai, agar ap blogging me kamyab hona chahta hain to ise seriously lena hoga, iski sari basic jankarion ko janna hoga, agar ap blogging sirf shaukiya kar rahe hai to koi baat nhi, bt agar business view se kar rahe hai ya agar aap chahte hai blogging ke zariye puri duniya me apni ek alag pehchan banana to abhi se hi serious ho jaye taaki jaldi kamyabi mile.

Blog Ki Settings kaise kare

Blog ki basic settings zyada mushkil nhi hai, agar is post ko dhyan se step by step padhenge to kuchh hi der me apke blog ki puri basic settings complete ho jayegi, aap bus niche diye steps ko follow karte jayen, agar phir bhi kuch na samajh me aaye aap comment box me pooch sakte hain.

Step 1
Sabse pahle blog ke Dashboard me jayen
Step 2
Settings pe click karen, uske baad Basic option select karen.
Ab apke samne Title, Description, Privacy, Blog Readers, Blog Author or Blog Address ke options dikhayi denge, Screen Shot dekhen.

Blog ki settings kaise kare
Step 3
Title:
1. Sabse pehle edit par click kare
2. Isme apne Blog ka naam enter kare
3. Save changes par click krke save kar len
Description:
1. Apne blog ka Description yani apka blog kis subject par hai wo likhen, dhyan rakhen apka description 160 letters se zyada ka na ho
2. Save changes pe click karen
Privacy:
1. Apko do options dikhayi denge, dono ko Yes kar de
2. Save kar len
Publishing:
Blog Address: Iska use tab hota hai jab apne blog name se blogspot hatakar buy kiya hua domain name use karna ho
HTTPS:
Ye feature blog ki Security improve karne ke liye hota, agar HTTP rahne dete hai to bhi koi baat nahi lekin HTTPS zyada secure hai isliye ise yes kar den.

Blog Settings

Permissions:
Starting me is option ko click karne ki zarurat nhi hoti lekin ye hai bahut kam ki chiz, agar aap dusre email id se bhi apne blog ko manage karna chahte hai, ya agar chahte hain ke dusre log bhi apke blog par likh sake yani Guest post to aap is option ka use kar sakte hain
Blog ki settings kaise kare
1. Add Author pe click karen
2. Apna dusre Email id ya jisko aap Author banana chahte hain uska email id enter kare
3. Invite author pe click kar de
Ab jo email id aapne enter kiya hai us par ek mail ayega jisme invitation link hoga, link par click karke invitation accept karna hai. Aap baad me chahen to use kabhi bhi remove kar sakte hain.

👉 Blog banane ki puri jankari
👉 Facebook se paise kaise kamaye
👉 Girl's Psychology Hindi
👉 Jokes Masti Manoranjan

Blog Readers:
1. Sabse pahle Edit par click karen
2. Public option select karen
3. Save kar den

Now Congratulations, apke blog ki basic settings complete ho chuki hai, agar kuchh puchhna ho ya aur kuch jankari chahiye to comment kare, Blogging se related articles ke liye Subscribe krna na bhule
Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url